Kuch phool hai mere haaton mein,
Jinki khushboo se mehak raha hai mera maan,
Teri yaad umad ayee hai fir se,
Inki komal pankhudiya choo kar…
Safed chadar pe lete hue,
Aaj hua ye mehasus,
Ke bin tere na rahi koi raunak,
Rang sare hi jaise tu apne saath lekar chali gayi…
Dekh kar in phoolon ki masumi,
Ab samajhta hu,
Ki us shakh par kya gujari hogi,
Toad diya jab inko uske agosh se…
Mein akela bohot der tak yaha jee sakta hoon,
Magar mujhe dar hai inka, ye murjha jayenje,
Ab der na kar fir laut ke aa,
Dil ke chaman ko teri bahar ka intazaar hai.

Advertisements